Pages

Wednesday 18 November 2020

Taiji ki yaad mein

Bazaar mein kal feri wala bola, 

"moonge badhiya hain, le lo, swaad bahut aayega..."

Maine apne mann mein kaha, 

honge moonge achhe, lekin ghar par kaun banayega...

Taiji to chali gayin, ab woh samay waapas nahi aayega.

 

Anek tarah ki chutney aur bhinn prakaar ke achaar,

Taiji banati thi har mausam har tayohaar.

Unke haath ke banaye hue laddoo, ab koi kaise kha paayega,

Taiji to chali gayin, ab woh samay waapas nahi aayega.

 

Umda kadhaai kare hue rumaal,

Aur, time-time pe school shirt ke toote button ke sudhaar,

Taiji to kar deti thi fata fat, lekar sui-dhaaga,

Taiji to chali gayin, ab woh samay waapas nahi aayega.

 

Mook-badhir ki bhaasha bhi bolna jaanti thi,

Chhattisgarhi muhaavre bhi batati thi,

Unke rehte pata tha ki ghar sambhal jaayega,

Taiji to chali gayin, ab woh samay waapas nahi aayega.

 

Meetha ki shaukeen thi taiji,

Aur, ice-cream/ jalebi bhi banati thi,

Ab na muree ke laddoo milenge, na kalakand ka swaad aayega,

Taiji to chali gayin, ab woh samay waapas nahi aayega...