Pages

Friday 1 February 2008

Priyesh ki kahani Piyush ki Zubaani


Priyesh Ki Kahani Piyush Ki Zubaani


Masti Bahari life mein 'Emotion' ka Tadhka,
Aisa anokha hai ye ladhka;
'Physics Wizard' ke naam se ise jaano,
Kaun hai yeh abb pehchano...........



PRIYESH SHARMA hai iska naam,
Filmein dekhna iska kaam;
Kareena ka ye Deewaana,
Always ready for Physics padhna and padhana.

Priyesh ki khasiyat uski Sachchayee,
Saath mein karta thodhi padhaai,
Karan, Yash ya Subhash Ghai,
Film hit wohi jo Priyesh ko Bhaee.

Iski 'Pakaane' ki aadat puraani,
Humesha sunata nayee-nayee kahani;
Faaltu ki tension bhi bahut hai leta,
Fir bhi kisi se kuch naa kehta;

Khel-kood se hai ghabrata,
Himesh ke gaane se darr jata;
Iske gaane ki choice bekaar,
Jaise bina tyre ki 'Car';
Fir bhi,
He is our STAR,
Isko karein Salaam baar-baar.

Ye hum sab mein ek anokha 'Creature',
Bahut hee cool hai iska Nature;
'Court' ke future mein iska future,
My best wishes for his College Lecture(s).

Humari dosti ka mast hai funda,
Tu khaye Andaa aur main khaoon Danda.
Hey,
Difficult to have friend like you ...
Difinitely yaar i'll miss you..........


#written to bid farewell to Priyesh after 12th standard

1 comment:

Opinions please.....